Friday, April 22, 2011

Ik Samvad: Qatre Aur Samuundar Ka


(i) Samundar ne kaha qatre se
Tu hi bata, teri aukaat kya hai
Mere samane teri bisaat kya hai ?
Mujhme doob jane ke ilawa
Tera aur paschataap kya hai ?  

Qatra kahe samundar se
Mein jaanta hoon, apni haqiqat
Mere hone ka nahi hai koi matlab
Tere adbhut, apaar felav ke samane   
Mein jaanta hoon, meri nahi koi bisaat   


(ii) Samundar ne kaha qatre se
Agar tu apni aukat jaanta hai
Aur apni jaat bhi pehchanta hai
To kyon nahi mujh tak aa jaata
Aur mujh mein hi samaa jaata 

Qatra kahe samundar se
Tujh mein samaane se darta hoon
Apni aukat ho na ho,  
Tujh mein samaa kar
Khud ko khone se darta hoon

(iii) Samundar ne kaha qatre se
Khud ko khona teri tadbir nahi
Khud ko khona teri taqdir hai
Tera hona ya na hona to bus ik haadsa hai
Na hai fitrat yeh teri, na koi majboori hai 

Qatra kahe samundar se
Log kahte hein, tuh itna vishal hai
Kyon machata toon phir dhamal hai
Mujh se hi tun kyon mukhatib hai
Teri yeh kya majboori hai ? 

(iv) Samundar ne kaha qatre se
Mein to tere liye hi kahta hoon
Qatra ban ban is duniya meiin bhata hoon
Tujhmein ansh dekhoon koi apna sa
Lage aise, koi dhoomil sapna sa

Qatra kahe samundar se
Agar baat hai bus itni si
To kyon toon saaf nahi kahata 
Mujh mein to itni taakat hi nahi
Kyon mujh mein hi aa nahi bahta

(v) Samundar ne kaha qatre se
Tera mun abhi to khali hai
Tera tun bhi abhi to khali hai
Mein is khalipan ka kya karoon
Mein is khalipan mein nahi bahta

Qatra kahe samundar se 
Gar toon mujhe itna kahta hai
Gar toon mujhe itna chata  hai
Mera khalipan toon hi bhar de  
Mere tun or mun ko naya wajood de de

(vi) Samundar ne kaha qatre se 
Yeh khalipan yoonhi nahi bharta
Isko bharne ki koshish tumhari hai
Mein to bus bahta rahta hoon
Jo bhi chahe, mujh mein samaata hai

Qatra kahe samundar se
Tujhse mil kar kya karoonga mein
Jiwan apna doobhar karoonga mein
Tujhme mil kar kho jaoonga mein
Hamesha ke liye so jaaoonga mein

(vii) Samundar ne kaha qatre se
Mujh mein samana teri fitrat hai  
Tera khona hi teri haqiqat hai
Mujh mein doobkar hi to
Toon apne aap ko payega

Qatra kahe samundar se 
Apne aap ko pana tha gar mujhe
To kyon yeh khel racchaya tha
Yeh khone aur pane kaa
Kyon tunhe dhong racchaya tha  

(viii) Samundar ne kaha qatre se
Mein bhi to kaam karte karte
Kabhi kabhi thak jaata hoon
Aur gar samajh na aaye aur koi
To bus yehi khel raccchata hoon

Qarta kahe samundar se
Tere liye mera hona ya naa hona
Bus khel hai mun lagane kaa ?
Yeh khona au paana koi haqiqat nahi
Bus sapna hai aane au jaane kaa ? 

(ix) Samundar ne kaha qatre se
Yeh baat hai to chorh de yeh sapna tu  
Tere liye mein nahi bahta
Tera mera milan koi sacchai nahi
Bikhri hui ik kahani hai  

Qatra kahe samundar se
Is bikhri kahani ko jor de tu
Mere bikhre swaroop ko jor de tu
Tere bin yeh kahani adhoori hai
Tere bin har manzil adhoori hai

(x) Samundar ne kaha qatre se
Mujhse juda bhi tera koi wajood nahi
Mujhse behtar tera koi rakkib nahi
Mujhse bicchar kar tu hi bata
Tu kahan au kidhar jaayega   

Qatra kahe samundar se
Mera hona ya na hona
Bus teri mehrbani hai
Meri apni koi kahani nahi
Bus teri bicchri hui ravani hai

(xi) Samundar ne kaha qatre se
Utar ke dekh gharai mein meri tu
Yahan har ik boond moti banti hai
Boond ka moti bananan hi to
Samundar ka kartab kahlata hai

Qatra kahe samundar se
Boond boond moti kahalaye
Har ik boond ki yeh kismet nahi
Kucch ko baihna boond boond hota hai
Kucch ko saihna hota bara samundar hai

(xii) Samundar ne kaha qatre se
Mera seena chotta nahi hai, suun le   
Yoon hi vishal hridaya nahi kahata hoon
Chir ke dekh tu bhi ek bar isko
Tera chhipa hua roop dikhlaata hoon  

Iske baad, kahte hain
Qatra chup ho gaya
Yaa phir woh
Kahin kho gaya
Kon jaanta hai, shayyad
Woh samundar ho gaya

Ab kabhi kabhi, waqat ki lehron par
Badale huye mausam ke rango par
Ya phir hawa ki urhti hui soch par
Kahte hain, yeh bhi sunayi deta hai…. 

Ik qatra hoon 
samundar ho jaoonga
naa gila hai koi qatra hone ka 
naa samundar se milne ki koi arzoo 
samay ke dwar pe baitha
bas lehrein gina karta hoon......

Iske saath saath, kabhi kabhi
Ik aur awaaz bhi sunayi deti hai,
Koi nahi jaanta, yeh kiski hai,
Qatre ki, ya samundar ki.  

Is qatre ki himakat to dekho 
Yeh bhi dum bharta hai hone ka 
Sapna bunta hai to samundar hone ka 
Hona ya na hona to ik alag baat hai 
Ehsas hai yeh apne ko khone ka 
Ya phir paa kar pooran hone ka
Hona na hona to ik ehsas hai 
Ankh ka dhoka hai ya phir 
Hawa ki silwaton par 
Badale huye rango ka asar hai
 

By Rana Nayar 

1 comment:

  1. It's really so meaningful, deep and pictorial too.

    Mera mujh mein kuchh nahin jo kichh hai so tera
    Tera tujh ko saumpte kya laage mera....

    ReplyDelete